Tumhari bheegti palkon se maine bar-ha pocha
K dil k khel mein kya jeetne wale b rote han
Wo jin ki chashm-e-beena oron ko dekha nehi kerti
Bhala kisi ghum mein dil k taar mein aansu parote han
Tumhari bheegti palkon se maine bar-ha pocha
K kya manind sheesha pathar mein b baal ata hai
Asar angaiz hai ab tak muhabat ka vohi jazba
Jo ese hosh mandon ko youn pagal banata hai
Tumhari bheegti palkon se maine bar-ha pocha
Mijaz-e-husan mein youn yak baik kya inkilab aya
Sitara dekhna or dekh k afsurda ho jana
Bari takheer se tum ko sitaron ka hisab aya
Tumhari bheegti palkon se maine bar-ha pocha
K tark-e-rabt per kya mujh se wehshi yaad ate han
Taluq torna asan tha to q aankh ye num hai
Ana paro jafa pesha bi youn aansu bahate han?
Tumhari bheegti palkon se maine bar-ha pocha
K jalne or jalane mein bhala kya lutf ata hai
Ek jhooti ana k wastay barbad ho jana
Khudi k za-am mein insan kitne dukh uthata hai
Tumhari bheegti palkon se maine bar-ha pocha
By Heart Buyer
(Arslan)